Saturday, 3 May 2014

List Of Healthy Foods Health Tips Of The Day In Hindi For 2012 Images For Men Quotes In Urdu For Man In Urdu In Telugu For Summer

List Of Healthy Foods Biography

Source (google.com.pk)
get information and homemade beauty tips for skin.
Homemade Beauty Tips in Urdu and Hidni for skin, for girls and boys and all peoples and there are solutions for your beauty and skin problem, health tips in Urdu, skin care beauty tips, chehre aur jild ki hifazat and more….

Sehat Mand aur Damakti hoi Jild: (Healthy and Fabulous Skin)

Sehat mand jild jismani sehat aur khobsurti ka aik na guzeer hissa hai. Aik sehat mand khaton ki jild mein gulabi rang ki jhalak hona chahiye. Achi yani sehat mand aur khobsorat jild dakhli sehat ki akas hoti hai. Lekin amoman ye hota hai ke khawateen apni jild ki nihgadasht ka rujhan nahi rakhti aur enhein es waqt khayal aata hai jab ghaflat ke nataej apna ap dekhana shoro kar dete hein. Jis tarha sehat ka mamla hai esi tarha skin ki nihgdasth ka mamla hai. Es mein parhez (ehtayat) elaj se behtar sabit hoti hai.

Gher Sehat Mand Jild ke Asbab: (Causes the Non Healthy Skin)

Gher sehat mand jild ke bade asbab mein se aik galat khorak hai. Bacha jab peda hota hai toh es ki skin sehat mand aur qudrati rangat ke sath naram, mulaem aur naqaes se pak hoti hai. Ye kefiyat es ki ibtadai umer mein musalsal barqarar rehti hai, lekin jon jon bacha bada hota hai who bat-tat-rej en khobiyon se mehrom hota chala jata hai aur es ka sabab galat ghezain aur kuch dosre awamil hote hein. Taqat wa ghezaiyat se mehrom ki gai ghezain maslan safed aata, meda, safed chini aur es ki tayar ki gai tamam masnoat, coffee, tea aur soft drinks, jild se es ki khobiyan chen lete hein aur ese chaiyan, jhoriyan, budhape ki jhalak aur be-ronaqi bakhsh dete hein.
Gher sehat mand jild ki aehum wajha khon ki gardisht ka bazat-e khud sehat mand na hona hai. Naqis doran-e-khon jild ko be-rang, be-ronaq aur be-jan bana deta hai jab-ke sehat mand doran-e-khon na sirf jild ko chamak wa damak mohaiya karta hai balke ese bhar-por ghezaiyat aur tawanai farahum karne ke sath sath ratobat aur chiknai ka hosol mumkin banata hai. Es ka khordara pan aur khushki dor ho jati hai.
Cleansing bhi agar munasib andaz mein na ki jae to ye bhi jild ki jazibiyat khatam karne ka aik bada sabab ban jati hai. Jild ka pukashish na rehna dosri baton ke elawa es ki dekh bhal mein be-dhanga pan aur la parwahi ka natija hota hai. Es ghalat fehmi mein na rehein ke ap ka rang gora hai aur ap ki skin bazahir saf nazar aati hai. Sahi sorat-e-hal se aagah hona chahti hein to bhegi hoi roi ka tukda apne chehre aur garden per pher kar dekhiye. Jild pe mojod lekin chopi hoi mati aur gard-o-ghobar roi pe dekh kar ap heran reh jaein gi. Sahe cleansing na sirf make-up utarti hai balke es matti aur gard ko bhi utarti hai jo din bhar ap ki jild pe jama hoti rehti hai. Es ka aik faeda ye hota hai ke jild ke chiknai kharij karne wale ghadod bhi band hone se bach jate hein.

Fitri Nighadasht: (Natural Care Tips)

Skin ki sehat mand kefiyat barqarar rakhne ke liye gheza nehayat aehum kirdar ada karti hai. Aesi khawateen jinhein jild ke masael dar-pesh hon unhein her sorat mein aesi khorak lete rehna chahiye jis mein woh tamam ghezai ajza shamil hon jo sehat ki tamer karte hein. Ye ghezai ajza darja zeal hein.

• Protein
• Carbohydrates
• Fats
• Vitamins
• Madni ajza

Aesi khorak mein wafer maqdar mein beaj, maghazyat, anaj, phal aur khososi hifazati ghezaien maslan dodh, vegetable oil (nabatati tail), dahe, shehad aur khamer shamil hone chahiye.
Sehat mand skin ke liye tamam ghezai ajza zarori hein. Es liye ke bil-farz ap ki jild gher mamoli tor per khushk aur khurdari ya ap ke chehre per blackheads ya white heads hein to e ski aik imkani wajha ye ho sakti hai ke ap mein vitamin A ki kami hai. Aesi kefiyat ka sabab iron, iodine aur vitamin B ki kami bhi ban jati hai. Protein aur vitamin C ki na munasib maqdar mein farahimi bhi bala aakhir yahi nataej peda karti hai. Anti bodies ki pedaesh aur ksi bhi infection ka muqabla karne aur bahali sehat ka amal tez karne ke liye ye ghezai ajza bohat zarori hote hein.
B group ke vitamins khobsorat jild ki tashkil ke liye bohat zarori hai. Vitamin B1 khon ki gardish ko mamol per rakh kar jild ko sehat mand rehne mein madad deta hai. Riboflavin ya vitamin B2 ki mamoli ki mamoki si kami agar musalsal kuch arsa tuk barqarar rahe to jild pe bhore dhabe namodar ho jate hein. Ye bad-numa dhabe amoman es waqt az khud tehlel ho jate hein jab wafer maqdar mein vitamin B2 6 month tuk li jati hai. Riboflavin ki kami se fori tor per samne aane wale nataej mein jild mein chiknahat peda ho jati hai. Es ke alawa balon mein bhi chiknai aa jati hai. Rukhsaro, peshani aur kano ke peche jild ke niche chote chote gomad ban jate hein. Shaded kami ke natije mein nak ke niche, aankhon, kano aur honto ke kinaron pe jild phat jati hai aur pher dehakne lagti hai.
Vitamin B6 ki kami eczema ya jild ki sozish ka sabab banti hai aur nayasen ki kami bhi eczema jesa jildi eshteal aur khakstari dhabe peda karti hai. Ye dhabe zyadar tar chehrey, bazoon aur tango pe peda hote hein. Penthonic acid, pera amino benzoic acid aur biotin ki kami aik makhsos qisam ke eczema ko janam deti hai aur jab in vitamin ki wafer maqdar roz marra khorak mein shamil ki jati hai to eczema khatam ho jata hai.
Chonke B group ke sath vitamin bara e rast jild ki sehat se taluq rakhte hein chunancha kuch ghezain jo in vitamin ki wafer maqdar rakhti hein tezi se jild ko sehat mand aur khush-numa bana sakti hein. Yahan tuk ke aesi khawateen jin ki jild narm o mulaem hoti hein woh bhi in ghezaon ke estamal se mehaz 2, 3 hafton mein apni jild ki sakht aur chamak mein zaberdast behtari mehsos karti hein.
Kuch log es maqsad ke liye apni roz marra ghzaon mein rozana 2 ya 3 khane ke chamche brewers ka khamer shamil kar lete hein. Aur mehaz 1 hafte bad in ki jild ki chamak damak qabil e ded ho jati hai.

Home Tips for Eczema:

Jin afrad ko eczema ho inhein to pora 1 mahina rozana 1 khane ka chamcha khamer ksi tursh phal ke juice ya sada pani mein mila kar her khane ke bad (2 khano ke darmiyan) aur bistar pe jane se pehle pena chahiye. Agar khorak degar hawalon se munasib ho to 1 mahina mein eczema se nijat mil jati hai. 

1 comment:

  1. We are urgently looking for kidney donors for $500,000.00usd at global hospitals group India interested donors should email us for more information :onlinecareunit@gmail.com

    ReplyDelete